Skip to main content

Ghazal: Chamak Teri Ayaan Bijli Mein

Chamak Teri Ayaan Bijli Mein Aatish Mein Sharaare Mein;
Jhalak Teri Haweeda Chaand Mein Suraj Mein Taare Mein

Your Sparkle can be seen in thunder, in fire, in spark
Your Existance is evident in moon, in sun , in stars

Bulandi Aasmanon Mein, Zameeon Mein Teri Pasti
Rawani Behr Mein, Uftadgi Teri Kinare Mein

Your Greatness in the skies and the Depthness in the lands
Your Flow in the oceans and the stillness in the shores

Shariat Kyun Gireban-Geer Ho Zauq-e-Takallam Ki
Chupa Jata Hun Apne Dil Ka Matlab Istaare Mein

Why should Shari'ah be accused of the taste of the eloquance?
I only conceal the meaning of my heart in metaphors

Jo Hai Baidar Insan Mein Woh Gehri Neend Sota Hai
Shajar Mein, Phool Mein, Haiwan Mein, Pathar Mein, Sitare Mein

The one who is awake among the mankind gord into deep sleep
In trees, in flowers, in animals, in stones, in stars

Mujhe Phoonka Hai Souz-e-Qatra-e-Ashk-e-Mohabbat Ne
Ghazab Ki Aag Thi Pani Ke Chote Se Sharare Mein

I have been blown by the droplet of the burning tear of love
Wrtah of fire was present in that small droplet of water

Nahin Jinse Sawab-e-Akhirat Ki Aarzoo Mujh Ko
Woh Soudagar Hun, Main Ne Naf'a Dekha Hai Khasare Mein

In which I expect no reward for me on the Judgement day
That merchant I am who sees profit in the loss

Sukoon Na-Ashna Rehna Isse Saman-e-Hasti Hai
Tadap Kis Dil Ki Ya Rab Chup Ke Aa Baithi Hai Paare Mein

Being unaware of tranquility is existence for it
O God! Restlessness of which heart is residing in mercury


Sada-e-Lantarani Sun Ke Aey Iqbal Mein Chup Hun
Taqazon Ki Kahan Taqat Hai Mujh Furqat Ke Mare Mein

O Iqbal I am silent after hearing the call of "LanTarani" 
Being afflicted with separation I have no strength for importunity

Popular posts from this blog

(Armaghan-e-Hijaz-01) Explanation of Iblees Ki Majlis-e-Shura - The Devil's Conference

Book:  Sharah Kuliyat-e-Iqbal Explanation / Interpretation (Tashreeh):  Janab Israr Zaidi Meaning of Difficult Words:  Janab Nisar Akbar Abad Read Iblees Ki Majlis-e-Shura Explanation of Poem -   ?????

Amir Khusro- Sakal Bun Phool Rahi Sarson

This Qalam is a classical hits and all-time favorite. The Purbi lyrics and the raag bahar melody are both very inspirational and its contains many words in Urdu as well. A scene of exciting preparation taking place near a blooming yellow mustard field one winter's day is expertly drawn in just a few lines. The music builds up in-step with the poetry and reaches its crescendo at the exact moment when the devotees arrive at the dargah of Hazrat Nizamuddin holding colorful bouquets in hand. But one particular devotee cannot be there to make an offering and one finds that despite all the excitement of the music and the scenery the poem is but a poet's confession of a broken promise long overdue. Sakal bun (or Saghan bhun) phool rahi sarson, Sakal bun phool rahi..... Umbva phutay, tesu phulay, koyal bolay daar daar, Aur gori karat singaar, Malaniyan gadhwa lay aayin karson, Sakal bun phool rahi..... Tarah tarah kay phool lagaaye, Lay gadhwa haathan mein aaye. Nijamudin kay darwazay...

Mard-e-Musalman

Har Lehza Hai Moomin Ki Nayee Shaan Nayee Aaan; Guftar Mein Kirdaar Mein Allah Ki Burhaan. Every Moment of a True Believer is a new grandeur; By words and deeds he gives a proof Of Mighty God, His reach and power Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabrood; Yeh Chaar Anasir Ho Tho Banta Hai Musalmaan. Rout the foes, Grant them Reprieve, Do pious deeds & show great might; Are the four characteristics that make A Perfect Muslim Hamsaaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki; Hai Iska Nasheman Na Bukhaara Na Badakhshaan. This clay-born man has kinship close to Gabriel the trusted; His dwelling place is neve r a land or clime. Ye Raaz Kisiko Nahin Maalum Ke Moomin! Qari Nazar Aata Hai; Haqeekat Mein Hai Qur'an. The Believer's Secret has not been known by anyone. He looks like a Reciter; But in fact he himself is the Qur'an. Qudrat Ke Maqasid Ka Ayyar, Iske Iraade; Duniya Mein Bhi Mizaan, Qayamat Mein Bhi Mizaan. The Nature's aims and ends are his intentions; He keeps Balance in th...